nashshe meñ chashm-e-nāz jo hañstī nazar paḌī
tasvīr-e-hoshiyārī-o-mastī nazar paḌī
lahrā.ī ek baar vo zulf-e-ḳhirad-shikār
koī na phir bulandī-o-pastī nazar paḌī
uTThī thī pahlī baar jidhar chashm-e-ārzū
vo log phir mile na vo bastī nazar paḌī
husn-e-butāñ to ā.īna-e-husn-e-zāt hai
zāhid ko us meñ kufr-parastī nazar paḌī
yārab kabhī tū bul-havasoñ ko bhī de sazā
maanā hamārī jaan to sastī nazar paḌī
sū-e-chaman ga.e the bahārāñ samajh ke ham
dekhā to ek āg-parastī nazar paḌī
kaisī sabā kahāñ kī nasīm-e-chaman na pūchh
nāgin sī phuul phuul ko Dastī nazar paḌī
muddat ke ba.ad apnī taraf phir gayā ḳhayāl
tum kyā mile ki sūrat-e-hastī nazar paḌī
shabnam kī buuñd buuñd ne hañs hañs ke jaan dī
'tāhir' kiran kiran bhī tarastī nazar paḌī