Jafar Tahir

donon hathon mein uThae hue bhaari patthar

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
donoñ hāthoñ meñ uThā.e hue bhārī patthar
mārne aa.e haiñ iisā ko havārī patthar
maiñ ne jo tere tasavvur meñ tarāshe the kabhī
le ga.e vo bhī mire ghar se pujārī patthar
aadmī aaj kahīñ jaa.e to kyūñkar jaa.e
sar pe sahrā to zamīñ saarī kī saarī patthar
sab se pahle mire bhaa.ī ne hī pheñkā mujh par
pahlā patthar hī mujhe ho gayā kaarī patthar
rahm ai gardish-e-daurāñ ye tamāshā kyā hai
phuul se shānoñ pe karte haiñ savārī patthar
jab koī ġhuncha khilā koī kalī chaTkī hai
le ke pahuñchī hai vahīñ bād-e-bahārī patthar
dil hai is āhū-e-darmāñda-o-bekas kī tarah
mārte haiñ jise mil mil ke shikārī patthar
sīna-e-sañg se dariyā nahīñ bahte dekhe
kaun kahtā hai ki haiñ dard se aarī patthar
naaz har but ke uThā paa.e na 'jāfar-tāhir'
chuum kar chhoḌ diye ham ne ye bhārī patthar
Top Urdushayar.com