Jafar Tahir

ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
ye to nahīñ ki ham pe sitam hī kabhī na the
itnā zarūr thā ki vo nāguftanī na the
ai chashm-e-iltifāt ye kyā ho gayā tujhe
terī nazar meñ ham to kabhī ajnabī na the
phirte haiñ āftāb-zada kā.enāt meñ
ham par kisī kī zulf ke ehsāñ kabhī na the
pāmāl kar diyā jo falak ne to kyā kaheñ
ham to kisī kamāl ke bhī mudda.ī na the
kyā jurm thā ye aaj bhī ham par nahīñ khulā
ye ilm hai ki ahl-e-junūñ kushtanī na the
har lamha tere ishq meñ umr-e-abad banā
jo din bhī zindagī ke mile aarzī na the
murjhā ke bhī ga.ī na mahak jism-e-nāz kī
ye motiye ke phuul koī kāġhzī na the
yārān-e-shahr ishq meñ be-ābrū hue
ham par to mehrbāñ vo kabhī the kabhī na the
iqlīm-e-āshiqī ko diyā dīn-e-shā.irī
ham sāhib-e-kitāb the garche nabī na the
ham jin kī nazr karte javāhar kalām ke
'tāhir' hamāre shahar meñ vo jauharī na the
Top Urdushayar.com