Wazir Ali Saba Lakhnavi

mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
mahshar kā hameñ kyā ġham isyāñ kise kahte haiñ
palle pe vo but hogā mīzāñ kise kahte haiñ
ushshāq phire dar-dar aivāñ kise kahte haiñ
sar baar rahā tan par sāmāñ kise kahte haiñ
vasl-e-but-e-mahrū hai sharb-e-mai-e-gulgūñ hai
phir aur ināyāt-e-yazdāñ kise kahte haiñ
qaidī rahe vahshat meñ be-ḳhud the magar aise
ye bhī na khulā ham par zindāñ kise kahte haiñ
insān kā bas nafs-e-ammāra muḳharrab hai
lā-haul valā quvvat shaitāñ kise kahte haiñ
mahtāb tire aage niklā to nujūmī ko
sābit na huā māh-e-tābāñ kise kahte haiñ
bīmār-e-mohabbat haiñ mar jaa.eñ to achchhā hai
qurbān atibbā ke darmāñ kise kahte haiñ
kyūñkar na hañseñ sun kar hāl-e-dil āshiq ko
kamsin haiñ vo kyā jāneñ armāñ kise kahte haiñ
ai vā.izo ye bāteñ achchhī nahīñ gunjalak kī
koī jo kabhī samjhe īmāñ kise kahte haiñ
dekheñ to ḳhizar tere āb-e-dam-e-ḳhanjar ko
ma.alūm nahīñ āb-e-haivāñ kise kahte haiñ
haañ dast-e-junūñ sau sau zanjīr kī TukḌe hoñ
sansī kise kahte haiñ sohāñ kise kahte haiñ
be-yār ye bādal haiñ dal shaam kī faujoñ ke
bauchhār hai tīroñ kī bārāñ kise kahte haiñ
ham aap ke ghar aa kar farmā.iye jā.eñge
achchhī rahī lo suniye mehmāñ kise kahte haiñ
jab dekhte haiñ gul ko kahte haiñ vo shoḳhī se
rotī huī sūrat hai ḳhandāñ kise kahte haiñ
be-ḳhud ḳhalish-e-ġham se hote haiñ to kahte haiñ
ai dil ye khaTak kyā hai mizhgāñ kise kahte haiñ
dīvār ko zindāñ kī pathrā ga.e dīvāne
jis dam ye ḳhayāl aayā maidāñ kise kahte haiñ
ā.īne ke saath apnī sūrat unheñ dikhlā.eñ
dekheñ to vo dono meñ hairāñ kise kahte haiñ
shohra hai 'sabā' ab to apnī bhī fasāhat kā
'ātish' ke muqallid haiñ sohbāñ kise kahte haiñ
Top Urdushayar.com