merī afsurdagī se lutf uThāne vaale
kitne zālim haiñ ye sab log zamāne vaale
log hañste haiñ udāsī meñ taḌaptā huuñ jab
ek to dard hai uupar se satāne vaale
pyaar apnī jagah par ek shikāyat hai mujhe
tum ne aane meñ bahut der kī aane vaale
maiñ kabhī paas chalā jaatā thā rone ke liye
aur kabhī zehn meñ aa jaate rulāne vaale
ik taraf rañj bulātā hai musalsal mujh ko
dūsrī aur mujhe rañj bulāne vaale
markaz-e-karb kā 'ahmad' jo chhiḌe zikr kahīñ
jaane kyoñ terā batāte haiñ batāne vaale