Ahmad Tariq

wo mujhe moatabar na dekh saka

Ahmad Tariq

Lahore, Punjab, Pakistan

2002
vo mujhe mo'atabar na dekh sakā
aur phir umr bhar na dekh sakā
is ko manzil to dikh ga.ī fauran
par vo daur-e-safar na dekh sakā
kyā batā.ūñ sitam-zarīf kā haal
vo mujhe ik nazar na dekh sakā
tujh ko kaise dikhā.ī detā maiñ
tū mujhe is qadar na dekh sakā
vo mujhe baar baar uḌātā rahā
aur mire ḳhasta par na dekh sakā
mere mālik ne bhar diyā kaasa
vo mujhe dar-ba-dar na dekh sakā
sab ke sab dekhte rahe tasvīr
koī dīvār par na dekh sakā
tū bhī dekh aa ke hālat-e-'ahmad'
aur iqrār kar na dekh sakā
Top Urdushayar.com