kaam aa ga.ī hai gardish-e-daurāñ kabhī kabhī
dekhī hai zulf-e-yār pareshāñ kabhī kabhī
ḳhūn-e-jigar se ātish-e-sozāñ ko shah milī
ḳhud dard ban ke rah gayā darmāñ kabhī kabhī
tūfāñ kī Thokaroñ se kināra kabhī milā
sāhil se aa ke le gayā tūfāñ kabhī kabhī
vahshat ne mujh ko bazm-e-tarab se uThā diyā
niklā us anjuman se pareshāñ kabhī kabhī
aksar ḳhushī hī ban ga.ī hai dushman-e-sukūñ
ġham ban gayā sukūt kā sāmāñ kabhī kabhī
dast-e-ḳhirad ne maslahatan chaak bhī kiyā
sī bhī liyā junūñ ne garebāñ kabhī kabhī
dīvānoñ meñ shumār huā us ġharīb kā
'iqbāl' ho gayā jo ġhazal-ḳhvāñ kabhī kabhī