merī fariyād pe royā hai chaman mere ba.ad
khil ga.e aur bhī ġhunchoñ ke dahan mere ba.ad
sarfaroshī kā na zinda rahā fan mere ba.ad
ḳhud se uljhā hī kiye dār-o-rasan mere ba.ad
barhamī terī rahī merī vafā tak baaqī
kis ne dekhī tire māthe pe shikan mere ba.ad
dil ko us zulf-e-pareshāñ meñ giraftār hī rakh
phir bane yā na bane zulf-e-rasan mere ba.ad
aaj bedād ko tum had se guzar jaane do
bhuul jāoge qayāmat kā chalan mere ba.ad
qābil-e-qadr thā 'iqbāl' unheñ hai taslīm
yaad aayā hai merā tarz-e-suḳhan mere ba.ad