Iqbal Abidi

mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi

Iqbal Abidi

mujh par nigāh-e-gardish-e-daurāñ nahīñ rahī
shāyad kisī kī zulf-e-pareshāñ nahīñ rahī
vahshat tak aa gayā hai mohabbat kā silsila
ab mujh ko fikr-e-jeb-o-garībāñ nahīñ rahī
mere jigar meñ ḳhuun ke qatre nahīñ rahe
un kī nazar meñ barash-e-pinhāñ nahīñ rahī
zauq-e-talab se terī ināyāt baḌh ga.iiñ
merī nazar meñ vus.at-e-dāmāñ nahīñ rahī
dil yuuñ bujhā bujhā sā hī kho kar tumhārī yaad
mahfil meñ jaise sham-e-farozāñ nahīñ rahī
kis darja dil-shikan hai gulistāñ kā inqalāb
bulbul bhī ab chaman meñ ġhazal-ḳhvāñ nahīñ rahī
'iqbāl' sard ho ga.ī bazm-e-hayāt bhī
jab se diloñ meñ ātish-e-sozāñ nahīñ rahī
Top Urdushayar.com