kyuuñ masāfat meñ na aa.e yaad apnā ghar mujhe
Thokareñ dene lage haiñ raah ke patthar mujhe
kis kā ye ehsās jaagā dopahar kī dhuup meñ
DhūñDne niklā hai nañge paañv nañge-sar mujhe
jis meñ āsūda rahā maiñ vo thā kāġhaz kā makāñ
ek hī jhoñkā havā kā kar gayā be-ghar mujhe
maiñ to in ālā.ishoñ se duur ik ā.īna thā
aa lagā hai merī apnī soch kā patthar mujhe
aa gayā thā maiñ sitam kī bastiyoñ ko rauñd kar
kyā ḳhabar thī ḳhud nigal jā.egā apnā ghar mujhe
ab anā kī chaar dīvārī ko girnā chāhiye
qaid kar rakkhā hai apnī zaat ke andar mujhe
'fauq' sailāb-e-ġham-e-daurāñ bahā kar le gayā
dekhtā hī rah gayā ik husn kā paikar mujhe