Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

la-makan nam hai ujDe hue virane ka

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
lā-makāñ naam hai ujḌe hue vīrāne kā
hū ke aalam meñ hai maskan tire dīvāne kā
shauq-e-rusvā koī dekhe tire dīvāne kā
ḳhud vo āġhāz banā hai kisī afsāne kā
jām-e-dil bāda-e-ulfat se bharā rahtā hai
vaah kyā zarf hai TuuTe hue paimāne kā
dāstāñ ishq kī hai puurī sunā.eñge kalīm
qissa tuur to ik baab hai afsāne kā
sham.a ne bazm meñ jal jal ke jalāyā āḳhir
aah kyā hashr huā ishq meñ parvāne kā
mustatar qulqul-e-mīnā meñ hai rāz-e-mastī
bhed kis tarah khule phir tire mastāne kā
hashr meñ dekh ke majma.a lab-e-kausar saaqī
phir gayā āñkhoñ meñ naqsha tire maiḳhāne kā
milte hī sāġhar-o-shīsha se chhalak jaatā hai
ye bhī kyā daur hai saaqī tire paimāne kā
kyā qayāmat hai ki mahshar meñ bhī pursish na huī
hashr ab dekhiye kyā ho tire dīvāne kā
saf.ha dil mirā ā.īna-e-ramz-e-tauhīd
rāz-e-kaunain ḳhulāsa mire afsāne kā
'shauq' ab kis liye fikr-e-mai-o-mai-ḳhāna hai
bharne vaalā to koī aur hai paimāne kā
Top Urdushayar.com