jo muhibbā-e-vafā haiñ vo vafā karte haiñ
kuchh ġharaz is se nahīñ koī jafā karte haiñ
ḳhūgar-e-dard haiñ sab kuchh vo sahā karte haiñ
dushmanoñ se nahīñ matlab ki vo kyā karte haiñ
ham jigar thaam ke jab āh-e-rasā karte haiñ
ik qayāmat meñ qayāmat hī bapā karte haiñ
chāragar kā ho bhalā kaun rahīn-e-minnat
ham to ḳhud apnī hī zaḳhmoñ ko siyā karte haiñ
saaz ho aish kā yā sūr-e-musībat dam-sāz
ab to har haal meñ ham shukr adā karte haiñ
aap sharmā ga.e kyuuñ dekh ke raqs-e-bismil
kyā kahīñ tīr-e-nazar chal ke ḳhatā karte haiñ
ātish-e-ishq-e-vatan rakhte haiñ dil meñ raushan
apnī hī aag meñ jal jal ke bujhā karte haiñ
har hubāb-e-lab-e-jū jalva-gah-e-hastī hai
naqsh ban ban ke zamāne se miTā karte haiñ
'shauq' sā banda-e-āzād zamāne meñ kahāñ
aaj sunte haiñ ki vo yād-e-ḳhudā karte haiñ