Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
dil bahalne kā jahāñ meñ koī sāmāñ na huā
apnā hamdard kabhī ālam-e-imkāñ na huā
shikva-e-hijr na bhūle se bhī aayā lab par
rū-ba-rū un ke maiñ ḳhud-karda pashemāñ na huā
ham-nashīñ pūchh na hāl-e-dil-e-nākām-e-azal
yahī hasrat rahī puurā koī armāñ na huā
be-ḳhudī meñ ye hai aalam tire dīvānoñ kā
fasl-e-gul aa.ī magar chaak garebāñ na huā
koī kyā jaane ki kyā lutf ḳhalish hai hāsil
merā hī dil hai ki minnat-kash-e-darmāñ na huā
yuuñ to hamdard zamāna thā ba-zāhir lekin
kisī sūrat se ilāj-e-ġham-e-pinhāñ na huā
be-dhaḌak jaane kī himmat na huī mahshar meñ
muñh chhupāne ke liye dast-ba-dāmāñ na huā
dil bahaltā bhī to kis tarah bahaltā shab-e-ġham
sāz-o-sāmāñ na huā naġhma-ehirmāñ na huā
pursish-e-hāl pe āñkhoñ meñ bhar aa.e aañsū
aise majbūr hue zabt bhī āsāñ na huā
zarre zarre se ayaañ husn kī ra.anā.ī hai
vo hasīñ tū hai ki pardoñ meñ bhī pinhāñ na huā
maiñ thā mushtāq tire jalve kā ai māya-e-husn
rah ke parde meñ bhī to sho.ala-e-uryāñ na huā
chain se qaid ta.ayyun meñ basar kī ai 'shauq'
dil bhī jam.īyat-e-ḳhātir se pareshāñ na huā
Top Urdushayar.com