vafā-shi.ār ko tū ne zalīl-o-ḳhvār kiyā
jafā-parast ye kyā sheva iḳhtiyār kiyā
uThā.e se na uThā dil kā parda-e-ġhaflat
ḳhatā huī ki un āñkhoñ pe e.atibār kiyā
nigāh-e-mast-e-haqīqat to de chukī thī javāb
magar ye dil hī thā phir us ne hoshiyār kiyā
na vo taḌap rahī dil meñ na vo rahī sozish
ilaaj kyā thā ye kyā tū ne ġham-gusār kiyā
dikhā ke jalva-e-bātil kī ik jhalak ai husn
ḳhudā ke banda ko nāhaq gunāhgār kiyā
kisī ke bas kā dil-e-muztarib na thā lekin
hamīñ ne ḳhūgar-e-andoh-e-intizār kiyā
ḳhayāl-e-ishq ne rahmat se bhī rakhā mahrūm
ye kyā kiyā ki gunāhoñ pe e.atibār kiyā
kahe meñ aa ke dil-e-nā-subūr ke ham ne
tamām shab tire aane kā intizār kiyā
tumheñ to ḳhaak meñ milnā thā mil ga.e āḳhir
jahāñ meñ shauq abas un ko sharmsār kiyā