Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

mai ka ye ehtiram are tauba

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
mai kā ye ehtirām are tauba
aur phir vo harām are tauba
dil ko sarmast kar hī detī hai
yād-e-sāqī-o-jām are tauba
allāh allāh kar are zāhid
jām-e-mai sub.h-o-shām are tauba
but-parastī meñ jis kī umr kaTī
aise kāfir kā naam are tauba
ek be-jāñ ke qatl karne ko
is qadar ehtimām are tauba
ġham-zadoñ kī ye ḳhāmushī hai ġhazab
sabr kā intiqām are tauba
aaj bhūle se le liyā kis ne
'shauq'-e-rusvā kā naam are tauba
Top Urdushayar.com