Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
kuchh to ho dard kī lazzat hī sahī
terī ulfat meñ aziyyat hī sahī
dard ko dard na jab tū samjhe
bad-gumānī tirī aadat hī sahī
dil-e-mahjūr meñ armān-e-visāl
na sahī diid kī hasrat hī sahī
but-kada chhoḌne vaale to na the
ḳhair miltī hai to jannat hī sahī
dil ko thā ḳhaak meñ milnā so milā
dekhne vāloñ ko ibrat hī sahī
is sitamgār ne kar lī tauba
ai falak haañ koī aafat hī sahī
koī jalva nazar aa.e shāyad
TikTikī bañdhne kī aadat hī sahī
haiñ kisī jalve kī āñkheñ mushtāq
kuchh kam-o-besh ye ġhaflat hī sahī
ishq kī boltī tasvīr hai 'shauq'
dekhne vāloñ ko hairat hī sahī
Top Urdushayar.com