marnā marīz-e-ishq ke haq meñ shifā huā
achchhā huā najāt milī kyā burā huā
rāh-e-adam kī manzil-e-avval meñ kyā huā
jo aayā ḳhaak Daal ke mujh par havā huā
nashtar ko Dūbne na diyā ai rag-e-junūñ
kyā us kā ek qatra-e-ḳhūñ meñ bhalā huā
jis dil ke daaġh se hameñ thī chashm-e-raushnī
rahtā hai vo to shaam hī se ḳhud bujhā huā
bas aisī chārasāzī se ai 'shauq' baaz aa.e
jis se ki dard aur bhī dil meñ sivā huā