Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

bichhDe hain kab se qafila-e-raftagan se hum

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
bichhḌe haiñ kab se qāfila-e-raftagāñ se ham
mil jā.eñge kabhī na kabhī kārvāñ se ham
rah rah ke pūchhte haiñ yahī bāġhbāñ se ham
le jaa.eñ chaar tinke kahāñ āshiyāñ se ham
majbūr kis qadar haiñ dil-e-bad-gumāñ se ham
dekhe koī ki chup haiñ khaḌe be-zabāñ se ham
allāh re urūj-e-taḳhayyul ke hausle
chal kar makāñ se baḌh ga.e kuchh lā-makāñ se ham
bād-e-ḳhizāñ ne rañg-e-chaman kyā uḌā diyā
āḳhir ko nikle ḳhāk-basar bostāñ se ham
kis muñh se haath uThā.eñ duā.eñ haiñ be-asar
phir bhī hai dil meñ chheḌ kareñ āsmāñ se ham
vo mai pilā.ī saaqī ne haiñ jis se hosh-e-ġham
jāgeñ na jāgeñ dekhiye ḳhvāb-e-girāñ se ham
vo sarzamīñ kahāñ ki na ho gardish-e-falak
mumkin nahīñ ki bach ke raheñ āsmāñ se ham
āḳhir junūñ meñ mil ga.iiñ dāman kī dhajjiyāñ
le aa.e un ko vādī-e-vahshat-nishāñ se ham
kam-mā.egī meñ nāzil hai ijz-o-niyāz par
ab kyā uThā.eñ sar ko tire āstāñ se ham
kaisī chamak kahāñ kī khaTak uf re be-hisī
haiñ mast zauq-e-lazzat-e-dard-e-nihāñ se ham
majbūr dil thā hukm-e-qazā-o-qadar se 'shauq'
ab kyā batā.eñ aa.e yahāñ phir kahāñ se ham
Top Urdushayar.com