Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

wahshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakkha mujhko

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
vahshat-e-dil ne kahīñ kā bhī na rakkhā mujh ko
dekhnā hai abhī kyā kahtī hai duniyā mujh ko
asar-e-qaid-e-ta.ayyun se bhī āzād hai dil
kis tarah band-e-alā.eq ho gavārā mujh ko
lene bhī de abhī mauj lab-e-sāhil ke maze
kyuuñ Dubotī hai ubharne kī tamannā mujh ko
ḳhvāhish-e-dil thī ki miltā kahīñ saudā-e-junūñ
maiñ ne kyā māñgā thā qismat ne diyā kyā mujh ko
terī be-pardagī-e-husn ne āñkheñ kholīñ
tañg-dāmānī-e-nazzāra thī pardā mujh ko
āḳhirī daur meñ mad.hosh huā thā lekin
laġhzish-e-pā ne mirī ḳhuub sambhālā mujh ko
umr saarī to kaTī dair-o-haram meñ ai 'shauq'
is pe sajda bhī to karnā nahīñ aayā mujh ko
Top Urdushayar.com