Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

kar ke qaul-o-qarar kya kahna

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
kar ke qaul-o-qarār kyā kahnā
o farāmosh-kār kyā kahnā
ho ke nādim gunah se paak huā
vaah re sharmsār kyā kahnā
kaam bigḌe tū hī banātā hai
ai mire kirdgār kyā kahnā
ḳhuub tū ne sunī lagī dil kī
vaah re ġham-gusār kyā kahnā
din ko taare dikhā diye tū ne
ai shab-e-intizār kyā kahnā
ḳhaak meñ bhī milā ke ai zālim
na kiyā e.atibār kyā kahnā
dil-e-hasrat-zada rahā na rahā
us kā qaul-o-qarār kyā kahnā
us se hāl-e-ġham-e-dil-e-mazlūm
jo na ho sharmsār kyā kahnā
bā-vafā.ī bhī terī ai dil-e-zār
rah ga.ī yādgār kyā kahnā
na sune ek baar jo dil kī
us se phir baar baar kyā kahnā
ḳhum ke ḳhum 'shauq' kar diye ḳhālī
ai mire bāda-ḳhvār kyā kahnā
Top Urdushayar.com