Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

pher len aankhen murawwat dekhna

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
pher leñ āñkheñ muravvat dekhnā
apnī ulfat dekhnā merī mohabbat dekhnā
do hī din meñ kyā se kyā tum ho ga.e
aa.ine meñ apnī sūrat dekhnā
DhūñDhne par bhī nishāñ miltā nahīñ
mar miTūñ kī shān-e-ġhurbat dekhnā
aah se dar-parda us ko laag hai
aa.ine kī ye kudūrat dekhnā
daad mahjūrī kī phir hai justujū
de na dhokā apnī qismat dekhnā
tauba karnā to bahut āsān hai
phir badal jā.egī niyyat dekhnā
manzil-e-duniyā nahīñ ārām-gāh
hai abhī roz-e-qayāmat dekhnā
kar le o saffāk har jaur-o-jafā
rah na jaa.e koī hasrat dekhnā
ka.abe se but-ḳhāna meñ aa hī ga.e
khīñch laa.ī 'shauq' qismat dekhnā
Top Urdushayar.com