Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

kaun si wo shama thi jis ka main parwana hua

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
kaun sī vo sham.a thī jis kā maiñ parvāna huā
aur phir lau bhī lagī aisī ki dīvāna huā
sāqī-e-sar-mast se jab tak ki lene ko baḌhūñ
haath se girte hī chaknā-chūr paimāna huā
dil harīm-e-nāz se le kar to ham nikle magar
ho gayā aalam kuchh aisā sab se begāna huā
ḳhair thī ulfat meñ dil ne rañg kuchh badlā na thā
ab tamāsha dekhiyegā vo bhī dīvāna huā
ham ne jaane kyā kahā logoñ ne kyā samjhā use
sarguzisht-e-dard-e-dil thī jis kā afsāna huā
faiz saaqī ne badal dī sūrat-e-dil aur hī
pahle paimāna thā paimāna se mai-ḳhāna huā
mere lab tak aate aate kyuuñ chhalak jaatā hai 'shauq'
jām-e-rañgīñ sāġhar-e-mul yā ki paimāna huā
Top Urdushayar.com