tan-e-be-jāñ meñ ab rahā kyā hai
dekhiye marzi-e-ḳhudā kyā hai
apnī hālat pe aaj rotā hai
dil-e-dīvāna ko huā kyā hai
ai tabībo tumheñ ḳhudā kī qasam
sach batā do ki mājrā kyā hai
maiñ ḳhatāvār hī sahī lekin
sun to lo pahle mājrā kyā hai
na khulā aaj tak kisī par bhī
ḳhat-e-taqdīr meñ likhā kyā hai
kyuuñ ye chup chup ga.e adam vaale
yā-ilāhī ye mājrā kyā hai
lab-e-zaḳhm-e-jigar to hañste haiñ
tū ne ai baḳhiya-gar siyā kyā hai
dil to kyā jaan ishq meñ de dī
ye na pūchhā ki mudda.ā kyā hai
uTh ke pichhle se aahoñ kā bharnā
'shauq' terā ye mashġhala kyā hai