Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

dil mein agar na ishq-o-mohabbat ki chah ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
dil meñ agar na ishq-o-mohabbat kī chaah ho
naala na dard ho na fuġhāñ ho na aah ho
rusvā na e.atibār-e-taġhāful ko kījiye
kyā fā.eda ki pursish-e-dil gaah gaah ho
dushman se pūchhtā huuñ nishān-e-harīm-e-nāz
merī tarah se koī na gum-karda-rāh ho
rāh-e-junūñ meñ mujh ko kisī se nahīñ hai kaam
bas maiñ huuñ aur ik dil-e-shorish-panāh ho
kar ab tū fikr husn-e-amal kuuch hai qarīb
rasta kaThin hai saath meñ kuchh zād-e-rāh ho
tauhīn-e-shān afv hai isyāñ se ijtināb
ya.anī gunāhgār hai jo be-gunāh ho
duniyā meñ aise logoñ se paalā paḌe na 'shauq'
zāhir ho jin kā saaf to bātin siyāh ho
Top Urdushayar.com