dil se pūchho kyā huā thā aur kyuuñ ḳhāmosh thā
aañkh mahv-e-dīd thī itnā mujhe bas hosh thā
vo bhī kyā tāsīr thī jis ne hilā.e sab ke dil
kyā batā.ūñ vo mirā hī nāla-e-pur-josh thā
mahfil-e-sāqī meñ thā kuchh aur hī mastoñ kā rañg
koī sāġhar DhūñDhtā thā aur koī behosh thā
kyā ajab hai jā.eza le mai-parastoñ kā koī
yaad rakhnā sāqiyā mujh sā bhī ik mai-nosh thā
kyā samajh saktā thā koī tere dīvāne kī chup
jab kisī ne us se kuchh pūchhā to bas ḳhāmosh thā
be-ḳhudī se nashsha-e-jām-e-ḳhudī utrā to phir
ek hī sāġhar milā aisā ki maiñ mad.hosh thā
ik hamīñ ko sāqiyā pūchhā na tū ne daur maiñ
varna mai-ḳhāne meñ tere shor noshā-nosh thā
kis qadar thā ishtiyāq-e-manzil-e-maqsūd use
marne vaale kā janāza aaj doshā-dosh thā
zindagī-bhar ke gunāhoñ se ye thī sharam ai ajal
tārik-e-hastī yahāñ se jab chalā rū-posh thā
ġhunche kyuuñ ḳhāmosh aa.e gulshan-e-hastī meñ 'shauq'
mausam-e-gul se magar ḳhauf-e-ḳhizāñ ham-dosh thā