Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

chura na aankh ko saqi ki baada-nosh hun main

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
churā na aañkh ko saaqī ki bāda-nosh huuñ maiñ
abhī to faisla hotā hai ek sāġhar par
marīz-e-ishq kī hālat kabhī na sañbhlegī
mujhe to chhoḌ de ai chāra-gar muqaddar par
hamāre naale bhī thak thak ke ab to baiTh rahe
ga.e vo din ki uThāte the āsmāñ sar par
hamāre mai-kada ko chhoḌ kar na jā zāhid
milegā qatra na kam-baḳht hauz-e-kausar par
gila na ham ne kiyā 'shauq' us sitamgar se
balā.eñ sab vo uThā.īñ jo aa paḌīñ sar par
Top Urdushayar.com