nau-giraftār-e-mohabbat kabhī āzād na ho
qaid meñ qaid rahe qaid kī mī.ād na ho
maiñ to ḳhāmosh rahūñ hijr meñ Dar hai lekin
dard uTh kar kahīñ āmāda-e-fariyād na ho
tum meñ pinhāñ haiñ mohabbat ke hazāroñ jalve
ai mirī ḳhaak ke zarro kahīñ barbād na ho
kuchh haiñ bikhre hue par kunj-e-qafas ke bāhar
ḳhauf hai aur bhī rusvā kahīñ sayyād na ho
phuuT kar kis ke ye rone kī sadā aatī hai
dard-e-ulfat kahīñ merā dil-e-nāshād na ho
dil kī īzā-talabī pūchh luuñ kyā kahtī hai
Thahro Thahro abhī dam-bhar koī bedād na ho
'shauq' kar duuñ jo bayāñ kāvish-e-ġham kī hālat
apnā qissa bhī kam-az qissa-e-farhād na ho