Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
vo ho ilāj-e-dard mudāvā kaheñ jise
aisā to ho koī ki masīhā kaheñ jise
pursān-e-hāl koī nahīñ jis kā naam leñ
ik dard dil hī hai ki shanāsā kaheñ jise
mushkil ye hai ki aap to sunte hī kuchh nahīñ
rūdād-e-ishq vo ki fasāna kaheñ jise
jalve se dekhiye kahīñ āñkheñ jhapak na jaa.eñ
yuuñ chashm vā ho zauq-e-tamāshā kaheñ jise
allāh aisī de tujhe taufīq ai junūñ
sar meñ vo dhun samā.e ki saudā kaheñ jise
sab hasratoñ ko ḳhaak meñ zālim milā diyā
ab dil meñ kyā rahā ki tamannā kaheñ jise
ye bār-e-zindagī kahīñ halkā na 'shauq' ho
itnā to ho ki hāsil-e-duniyā kaheñ jise
Top Urdushayar.com