Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
harīm-e-nāz kahāñ aur sar-e-niyāz kahāñ
kahāñ kā sajda kise hosh hai namāz kahāñ
mujhe ḳhabar hī nahīñ hai harīm-e-nāz kahāñ
niyāz-mand kahāñ aur be-niyāz kahāñ
paḌī hai kyā use hasrat zadoñ meñ aane kī
ye merī bazm kahāñ aur vo mahv-e-nāz kahāñ
ye maanā husn-e-haqīqat ayaañ majāz meñ hai
magar vo jalva hai ai chashm-e-imtiyāz kahāñ
ilaaj kis kā karegā ye pūchhtā kyā hai
batā.eñ kyā tujhe hai dard chārasāz kahāñ
kabhī to miltī thī hijr-o-visāl meñ lazzat
magar bujhī huī dil meñ vo soz-o-sāz kahāñ
duā.eñ māñgtā hai shaiḳh kyuuñ ma.āz-allāh
ḳhudā kā naam le tauba kā dar hai baaz kahāñ
baḌe maze se guzartī hai bāda-ḳhvāroñ kī
ba-juz sharāb ḳhayāl-e-shab-e-darāz kahāñ
milā vo be-ḳhudī-e-shauq meñ mazā ai 'shauq'
junūn-o-ishq meñ baaqī hai imtiyāz kahāñ
Top Urdushayar.com