Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

ishq ka raaz na kyun dil se numayan ho jae

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
ishq kā raaz na kyuuñ dil se numāyāñ ho jaa.e
kaash ye bhī kisī nākām kā armāñ ho jaa.e
nahīñ ummīd ki vo hashr-ba-dāmāñ ho jaa.e
aisā dīvāna jo ḳhud dāḳhil-e-zindāñ ho jaa.e
dard qaabū kā nahīñ kaash vo uTh kar shab-e-ġham
sarguzisht-e-dil-e-nāshād kā unvāñ ho jaa.e
na tasallī na dilāsā na kahīñ naam ko sabr
haif is dil pe ki yuuñ be-sar-o-sāmāñ ho jaa.e
ġhunche chaTkeñ ki khileñ phuul baḌhe josh-e-numū
husn-e-pinhāñ kisī unvāñ se numāyāñ ho jaa.e
Top Urdushayar.com