Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

ye kis ki justuju hai aur main hun

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
ye kis kī justujū hai aur maiñ huuñ
maqām-e-dasht-e-hū hai aur maiñ huuñ
chaman meñ dekhtā phirtā huuñ kis ko
fareb-e-rañg-o-bū hai aur maiñ huuñ
ba-roz-e-hashr taaza gul khilegā
vo dāman kā lahū hai aur maiñ huuñ
kabhī dīvāna thā par ab huuñ hushiyār
garebāñ kā rafū hai aur maiñ huuñ
himāqat hazrat-e-vā.is kī dekho
taqāzā-e-vuzū hai aur maiñ huuñ
na pūchho dil meñ kyā kyā hasrateñ haiñ
tumhārī aarzū hai aur maiñ huuñ
bhalā ho tishna-kāmī aur terā
mai-o-jām-o-subū hai aur maiñ huuñ
rahūñgā kah ke dil kā mājrā sab
are mahshar meñ to hai aur maiñ huuñ
vo kahte haiñ kaho ai 'shauq' kyā hai
are ḳhalvat hai tū hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com