Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
ātish-e-ishq-e-balā aag lagā.e na bane
aur ham us ko bujhā.eñ to bujhā.e na bane
rañg-e-ruḳh uḌne pe aaj jaa.e to roke na ruke
laakh vo raaz chhupā.eñ to chhupā.e na bane
kyā maza ho na rahe yaad jo andāz-e-jafā
maiñ kahūñ bhī ki satāo to satā.e na bane
ḳhud vafā hai mirī shāhid ki vafādār huuñ maiñ
laakh tum dil se bhulāo to bhulā.e na bane
dil ke har zarra meñ hai soz-e-mohabbat kī numūd
ḳhaak meñ in ko milā.ūñ to milā.e na bane
rāh-e-ulfat ne kuchh aisī mirī sūrat badlī
dāman-e-dasht chhupā.e to chhupā.e na bane
dil ko ab tāb-e-talāfī o mudāvā abhī nahīñ
chāragar aa.e to ehsān uThā.e na bane
koī ḳhāka mirī tasvīr kā khīñche to sahī
khiñch bhī jaa.e koī naqsha to miTā.e na bane
maut qaabū kī nahīñ aur na Thikānā is kā
koī vaqt us pe bhī aa.e ki banā.e na bane
aise Dhab se ho gilā un kī sitam kā ai 'shauq'
baat kuchh chāheñ banānī to banā.e na bane
Top Urdushayar.com