Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

sharm-alud kahin dida-e-ghammaz na ho

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
sharm-ālūd kahīñ dīda-e-ġhammāz na ho
dilbarī kā koī pahlū nazar-andāz na ho
duur se dard-bharī ek sadā aatī hai
mere TuuTe hue dil kī kahīñ āvāz na ho
lazzat-e-dard kā mahjūr sahārā kyuuñ leñ
lutf-e-tanhā.ī to jab hai koī dam-sāz na ho
shukr sad shukr ki ai shauq mirā tā.ir-e-dil
bāl-o-par hote hue mā.il-e-parvāz na ho
muntazir bazm hai aa jaa.eñ ba-sad ishva-e-nāz
shart ye hai ki nigāh-e-ġhalat-andāz na ho
ye bhī kyā daur hai nairañgī-e-ālam terā
murġh-e-āsūda chaman zamzama-e-parvāz na ho
kasrat-e-jalva meñ gum hai dil hañgāma-faroz
be-ḳhudī kahtī hai merā koī hamrāz na ho
sar-e-maqtal koī is shaan se aa.e ai 'shauq'
lab pe e.ajāz na ho chashm fusūñ-sāz na ho
Top Urdushayar.com