batā.eñ kyā ki aa.e haiñ kahāñ se ham kahāñ ho kar
nishāñ ab DhūñDte-phirte haiñ ghar kā be-nishāñ ho kar
lubhāne ko dil-e-shaidā ke saarī parda-dārī thī
ayaañ ho tum nihāñ ho kar nihāñ ho tum ayaañ ho kar
hamārī ḳhaak ke zarre fanā ho kar bhī chamkeñge
uruuj apnā dikhā.eñ ge ye najm-e-āsmāñ ho kar
dil-e-āvāra kyuuñ tujh ko ḳhayāl kū-e-jānāñ hai
are nādāñ kahāñ jā kar rahegā be-nishāñ ho kar
ye daur-e-mai-kashī har-vaqt mahv-e-dīd rakhtā hai
kahāñ āñkhoñ meñ ye ġhaflat rahe ḳhvāb-e-girāñ ho kar
musalmāñ ho ke tark-e-but-parastī ai ma.āz-allāh
ḳhudā ko ham ne pahchānā hai shaidā-e-butāñ ho kar
ye bār-e-ma.asiyat manzil kaḌī aur shām-e-tanhā.ī
chale haiñ kyā samajh kar ham bhī rusvā-e-jahāñ ho kar
abhī kyā jaane kyā kyā rañg vo ai 'shauq' badlegā
zamīñ par ik karegā hashr barpā āsmāñ ho kar