abas hai duurī kā us ke shikva baġhal meñ apne vo dil-rubā hai
chubhī hai qālib meñ jis tarah jaañ use tarīqe se vo chhupā hai
makāñ bhī hai vo makīñ bhī hai vo vahī milā hai vahī judā hai
usī kā jalva har ek sū hai vahī hai zāhir vahī chhupā hai
ġham-e-mohabbat hai us kā jis ko nahīñ vo ġham ain hai vo rāhat
ḳharāb jo ishq meñ hai us ke nahīñ vo bigḌā banā huā hai
na pārsā.ī namāz se hai na roza-dārī hai zohd-o-taqvā
mai-e-mohabbat piye jo us kī vahī haqīqat meñ pārsā hai
vo rañj āḳhir ko hogā rāhat vo marg-e-umr-e-davām hogī
jo ishq-e-sādiq meñ mar miTā tū to phir abas shākī-e-jafā hai
na koī dushman na dost apnā na nek-o-bad se hameñ ta.alluq
jo chashm-e-vahdat se ham ne dekhā na kuchh burā hai na kuchh bhalā hai
jo dard-e-hijrāñ se jāñ-ba-lab hai ilaaj mumkin hai us kā kyūñkar
masīh samjhe haiñ jis ko vo ḳhud maraz meñ ulfat kī mubtalā hai
jahāñ meñ sad.hā hazār-hā ghar base jo the vo ujaḌ ga.e haiñ
na hogā vīrān ḳhāna-e-dil jahāñ vo but aa ke bas gayā hai
jo hai talabgār us kā sādiq huā hai donoñ-jahāñ se fāriġh
na hūr-o-ġhilmāñ kā hai vo ḳhvāhāñ na vo hasīnoñ pe shefta hai
zabān-e-insāñ meñ kab hai qudrat kare jo iz.hār-e-shān-e-vahdat
na ibtidā se hai koī vāqif na us kī ma.alūm intihā hai
uThā le fazl-o-karam se yārab karīm hai aur rahīm tū hai
jo 'barq' bār-e-azīm-e-isyāñ se gir ke dar par tire paḌā hai