Shyam Sunder Lal Barq

mere dil ki ab ai ashk-e-nadamat shust-o-shu kar de

Shyam Sunder Lal Barq

mire dil kī ab ai ashk-e-nadāmat shust-o-shū kar de
bas itnā kar ke duniyā se mujhe be-ārzū kar de
chaman sar par uThā rakkhā hai fariyād-e-anādil ne
mazā aa jaa.e tū gul ko agar be-rañg-o-bū kar de
ye ina.am-e-taġhāf ai dil-e-himmat-shikan tauba
mujhe gum kar to yuuñ gum kar ki mahv-e-justujū kar de
sadaf kī tarah dil ko rāz-dār-e-mauj-e-tūfāñ kar
guhar kī tarah mujh ko ġharq-e-bahr-e-ābrū kar de
milegā rishtha-e-ulfat kahīñ ai baḳhiya-gar tujh ko
jo mil jaa.e to mere dil ke zaḳhmoñ ko rafū kar de
mujhe tāb-e-nazar baaqī nahīñ ai jalva-e-jānāñ
pareshāñ ik zarā aariz pe zulf-e-mushkbū kar de
galī jaatī haiñ zanjīreñ jalā jaatā hai pairāhan
junūñ ko fikr hai rusvā mujhe phir kū-ba-kū kar de
mujhe avval fanā āḳhir fanā ai 'barq' honā hai
zahe-qismat jo ruḳh merī taraf vo sho.ala-rū kar de
Top Urdushayar.com