tirī tasvīr se rahmat barastī hai gurū-nānak
kare tārīf terī kis kī hastī hai gurū-nānak
hameñ ummīd hai jaatī rahegī terī koshish se
hamāre mulk meñ jo tañg-dastī hai gurū-nānak
miTāyā naqsh tū ne dahr se bātil parastī kā
tire dam se zuhūr-e-haq barastī hai gurū-nānak
muḳhālif ko tire kyūñkar bulandī-e-marātib ho
baġhāvat se natīja us kā pastī hai gurū-nānak
ḳharīdārī na ho kyūñkar tire bāzār-e-talqīñ meñ
najāt-o-maġhfirat kī jins sastī hai gurū-nānak
banā.egī murīdoñ ko tire be-ḳhauf mahshar meñ
sharāb-e-nāb-e-vahdat se jo mastī hai gurū-nānak
hisāb-e-roz-e-mahshar se nahīñ kuchh 'barq' ko ḳhatra
jo terī yaad is ke dil meñ bastī hai gurū-nānak