hamāre dil ke ā.īne meñ hai tasvīr nānak kī
hamāre kaan ke parde meñ hai taqrīr nānak kī
tarīq-e-rāst se haT kar vo hargiz jā nahīñ saktā
paḌī hai paañv meñ jis shaḳhs kī zanjīr nānak kī
basar kī umr apnī gumrahoñ kī rahnumā.ī meñ
yahī thī roz-o-shab koshish bhī aur tadbīr nānak kī
musaḳhḳhar kar liyā har shaḳhs ko pand-o-nasīhat se
koī afsūñ thā yā taqrīr thī tāsīr nānak kī
kalām-e-pand meñ us ke asar thā āb-e-haivāñ kā
dil-e-murda ko zinda kartī thī taqrīr nānak kī
pasand-tab.a thī us kī nasīhat jumla-ālam ko
dahan meñ thī zabān-e-pāk par tāsīr nānak kī
jhukā de āstāñ par us ke tū bhī 'barq' sar apnā
hai darveshān-e-kāmil meñ baḌī tauqīr nānak kī