zinda ho jaatā huuñ maiñ jab yaar kā aatā hai ḳhat
rūh-e-tāza murda-dil ke vāste laatā hai ḳhat
tahniyat-nāma nahīñ ye ai mire paiġhāmbar
us se kahnā ashk-e-ḳhūñ se surḳh ho jaatā hai ḳhat
sar-zamīn-e-qāf par hai fauj-e-zañgī kā hujūm
ye samāñ tere ruḳh-e-anvar pe dikhlātā hai ḳhat
dhamkiyāñ tahrīr hoñ yā zulm kā mazmūn ho
phir ye mere dil ko ai dildār bahlātā hai ḳhat
de ke ḳhat qāsid se vāpas kar liyā ye kah ke haa.e
us ko hotī hai tasallī jab mirā jaatā hai ḳhat
hālat-e-girya meñ nāma-bar kī kuchh hājat nahīñ
ashk ke sailāb meñ bahtā huā jaatā hai ḳhat
kyā shab-e-furqat kī terī be-qarārī darj hai
nāma-bar ko kyuuñ tirā ai 'barq' taḌpātā hai ḳhat