Shyam Sunder Lal Barq

su-e-sahra hi mujhe le gai wahshat meri

Shyam Sunder Lal Barq

sū-e-sahrā hī mujhe le ga.ī vahshat merī
tere dar par na huī aah sukūnat merī
hai masīhā.ī kā da.avā to jilā le aa kar
dam laboñ par hai zarā dekh to sūrat merī
maiñ ne bāzār-e-jahāñ meñ liyā saudā terā
husn-e-yūsuf pe fidā kyā ho tabī.at merī
bāġh-e-ālam meñ ġham-e-ishq kā phal rāhat hai
mojib-e-izz-o-karāmat huī zillat merī
huuñ maiñ āvārā-o-gum-gashta rah-e-maqsad kā
hazrat-e-ḳhizr se kyā hogī hidāyat merī
maiñ muqīm-e-dar-e-jānāñ huuñ vo tanhā dasht-navard
josh-e-ulfat meñ hai kyā qais se nisbat merī
uḌ ke pahuñchā sar-e-gardūñ pe bagūlā ban kar
ba.ad miTne ke buland utnī hai himmat merī
paas mere jo na aa.e koī shikva kyā hai
kartī hai be-kasī-e-ishq rifāqat merī
na.ara-zan ra.ad ke mānind ġham-e-hijr se huuñ
sifat-e-'barq' taḌapne kī hai aadat merī
Top Urdushayar.com