Shyam Sunder Lal Barq

KHudaya hind ka raushan charagh-e-arzu kar de

Shyam Sunder Lal Barq

ḳhudāyā hind kā raushan charāġh-e-ārzū kar de
yad-e-qudrat se is ko bāġh-e-jannat hū-ba-hū kar de
shamīm-e-lutf se ḳhāk-e-vatan ko mushkbū kar de
harā abr-e-karam se is kā naḳhl-e-ārzū kar de
hamāre dāġh-e-isyāñ kī ḳhudāyā shust-o-shū kar de
farishta sūrat-e-insāñ meñ ham ko hū-ba-hū kar de
sitāra hind kā chamke siyah-baḳhtī miTe yārab
jo qaumeñ is meñ pistī haiñ unheñ to sulh-jū kar de
nahīñ yaarā hai mujh ko rāz-e-dil iz.hār karne kā
atā tāqat zabāñ ko ab barā-e-guftugū kar de
yahī hai aarzū apnī yahī hai mudda.ā apnā
jo ahl-e-hind haiñ yārab unheñ to surḳh-rū kar de
adā dil se kareñge shukr sab ahl-e-vatan yārab
mai-e-ishrat se jo un kā liyā lab to subū kar de
tirī chuTkī meñ rishta hai tirī chuTkī meñ sozan hai
ḳhudāyā hind ke chāk-e-garebāñ ko rafū kar de
adab se 'barq' kī har-dam yahī tujh se guzārish hai
hamāre mulk ko saare jahāñ meñ nām-jū kar de
Top Urdushayar.com