Shyam Sunder Lal Barq

ai rashk-e-mahr koi bhi tujh sa hasin nahin

Shyam Sunder Lal Barq

ai rashk-e-mahr koī bhī tujh sā hasīñ nahīñ
zohra nahīñ parī nahīñ māh-e-mubīñ nahīñ
tanhā nahīñ huuñ qabr meñ armāñ vasl kyā
hamdam nahīñ rafīq nahīñ ham-nashīñ nahīñ
aa kar chaman meñ āh-e-ḳhizāñ ne ye kyā kiyā
belā nahīñ gulāb nahīñ yā samayñ nahīñ
aisā koī nahīñ jo tire dard-e-hijr se
ġhamgīñ nahīñ hazīñ nahīñ andohgīñ nahīñ
uryānī-e-badan hai ajab muḳhtasar libās
dāman nahīñ hai jeb nahīñ āstīñ nahīñ
sharminda kyā dahān-o-ruḳh-o-zulf-e-yār se
ġhuncha nahīñ gulāb nahīñ mushk-chīñ nahīñ
baḌh kar miThās meñ lab-e-shīrīñ yaar se
misrī nahīñ hai qand nahīñ añgbīñ nahīñ
josh-e-junūñ meñ ab tire bīmār-e-ishq meñ
dānish nahīñ ḳhirad nahīñ rā-e-matīñ nahīñ
insān hai jahāñ meñ vahī aadmī ki jo
zālim nahīñ harīs nahīñ aib-bīñ nahīñ
zardār aur malak haiñ afsos hind meñ
chāñdī nahīñ talā nahīñ durr-e-samīñ nahīñ
kyūñkar kalām ho mirā be-misl 'barq' meñ
'urfī' nahīñ 'kamāl' nahīñ 'bin-mubīñ' nahīñ
Top Urdushayar.com