jab samā.at hī na ho us kī to hai bekār sharh
kyā karūñ dilbar maiñ tujh se apnā hāl-e-zār sharh
dam-ba-ḳhud huuñ kuchh nahīñ kahtā huuñ ro.ab-e-husn se
chup khaḌā huuñ haal apnā karte haiñ aġhyār sharh
dil meñ hai us rashk-e-yūsuf kī ḳharīdārī kā shauq
mere rāz-e-ishq kī ab hai sar-e-bāzār sharh
nosh-e-dārū-e-shifā samjhe jo marg-e-ishq ko
kyā masīhā se kare dard apnā vo bīmār sharh
vasf chashm-e-yār kā sun kar marīz-e-ishq ne
kyuuñ kiyā thā maiñ ne pesh-e-nargis-e-bīmār sharh
māh-e-kan.āñ shefta us par ho bhar kar āh-e-sard
husn-e-jānāñ kī karūñ jo garmī-e-bāzār sharh
kyā zabāñ se vo kahe kyā ho davā kā ḳhvāst-gār
dard-e-dil kartī hai tujh se jis kī shakl-e-zār sharh
nā-tavānī se mujhe yārā-e-goyā.ī nahīñ
haal soz-e-dil karegī āh-e-ātish-bār sharh
ġhair mumkin hai tirā aġhyār se ijrā-e-kār
hājat-e-dil 'barq' kar chal kar tū pesh-e-yār sharh