ḳhudāyā hind par terī ināyat ho ināyat ho
barādar ko barādar se mohabbat ho mohabbat ho
na hindū ko musalmāñ se adāvat ho adāvat ho
musalmāñ ko na hindū se kudūrat ho kudūrat ho
tirī ai phuuT jis ghar meñ iqāmat ho iqāmat ho
na kyuuñ be-intihā us meñ musībat ho musībat ho
yahī hai mudda.ā apnā yahī hai iltijā apnī
vatan meñ rāt-din yārab masarrat ho masarrat ho
sharaf is ḳhaak ke putle ko hai insān hone kā
ġharīb-e-zār par jis kī ināyat ho ināyat ho
haqīqat meñ vahī hai bahra-var ishq-e-haqīqī se
urūs-e-mulk se jis ko mohabbat ho mohabbat ho
ibādat naam hai us kā sharī.at hai laqab us kā
dil-o-jāñ se jo ḳhilqat kī itā.at ho itā.at ho
jo ho hamdard ḳhilqat kā vatan kā jo murabbī ho
ġhazab hai zaat par us kī aziyyat ho aziyyat ho
dil-o-jāñ dīn-o-īmāñ mulk-o-daulat par jo aadī haiñ
ilāhī un kī āñkhoñ meñ muravvat ho muravvat ho
sazā-vār-e-ḳhitāb-e-ḳhizr vo insāñ hai duniyā meñ
ki rah-gum-karda kī jis se hidāyat ho hidāyat ho
tujhe ai 'barq' ham samjheñge ahl-e-dil agar tujh se
dam-e-mushkil ḳhalā.eq kī iāñat ho iāñat ho