Shyam Sunder Lal Barq

hijr gham ka bayan hai goya

Shyam Sunder Lal Barq

hijr ġham kā bayān hai goyā
yaas kī dāstān hai goyā
us ke jaur-o-sitam kā kyā kahnā
zulm meñ āsmān hai goyā
paañv phailā.e ḳhuub sote haiñ
kunj-e-marqad makān hai goyā
ruḳh se zāhir hai hāl-e-dard-e-firāq
qalb kā tarjumān hai goyā
ḳhāl-e-āriz pe yuuñ numāyāñ hai
daaġh dil kā nishān hai goyā
hijr meñ aah us gul-e-tar ke
rañg-e-ruḳh za.afrān hai goyā
dard-e-dil kyuuñ kaheñ na ham un se
jab hamārī zabān hai goyā
arsh se āmad-e-mazāmīñ hai
ye zamīn āsmān hai goyā
'barq' tum ne ġhazal ye ḳhuub kahī
lucknow kī zabān hai goyā
Top Urdushayar.com