Shyam Sunder Lal Barq

nawak-zani nigah ki ai jaan-e-jaan hai hech

Shyam Sunder Lal Barq

nāvak-zanī nigāh kī ai jān-e-jāñ hai hech
jab tiir hī na paar huā to kamāñ hai hech
dair-o-haram bhī hech haiñ aur hech bāġh-o-rāġh
koī jagah ho be tire ai lā-makāñ hai hech
firdaus ham ko sāya-e-dāmān-e-yār hai
duniyā kī asl kuchh nahīñ bāġh-e-jināñ hai hech
kuchh maut kā na ġham hai na kuchh rāhat-e-hayāt
kūche meñ us ke mujh ko bahār-o-ḳhizāñ hai hech
chāragarī karegā jo vo hai mizāj-dāñ
dard-e-darūñ kā rū-ba-rū us ke bayāñ hai hech
ho jā ke kū-e-yār meñ ai murġh-e-jāñ muqīm
bāġh-o-bahār hech hai aur āshiyāñ hai hech
qātil ke paas jā.ūñgā maiñ ḳhud hī sar-ba-kaf
maqtal meñ us kā aanā pa.e imtihāñ hai hech
kyā takiya us pe kījiye aalam hai be-sabāt
hastī abas hayāt abas jism-o-jāñ hai hech
tauhīd-e-ishq meñ mujhe donoñ haiñ ek se
marg-o-hayāt hech hai sūd-o-ziyāñ hai hech
jo us kī ḳhūbiyoñ kā sanā-ḳhvāñ na ho kabhī
vo hech aur us ke dahan meñ zabāñ hai hech
huuñ mahv-e-dīd aañkh uThā.ūñ maiñ kis taraf
dekhūñ maiñ kis ko juz tire husn-e-butāñ hai hech
juz zikr-e-yār aur kahānī nahīñ pasand
sab qisse mujh ko hech haiñ aur qissa-ḳhvāñ hai hech
nālāñ jo haiñ jahāñ meñ ġham-e-ishq se tire
nāqūs un ko hech hai bāñg-e-azāñ hai hech
kyā asl teġh kī tire abrū ke sāmne
tīr-e-mizha ke sāmne nok-e-sināñ hai hech
haiñ band āñkheñ 'barq' kī dil meñ hai terī yaad
kyā dekhe sar uThā ke use sab jahāñ hai hech
Top Urdushayar.com