sūraj sā bhī taarā ho zamīñ sī bhī zamīñ ho
mumkin hai falak par koī tum sā bhī hasīñ ho
tardīd-e-jahālat kī sazā maut hai chup huuñ
ab kaun yahāñ khol ke lab munkir-e-dīñ ho
is baat se kāfir ko bhī inkār nahīñ hai
vo shaḳhs payambar hai jo sādiq ho amiiñ ho
suntā huuñ ka.ī dair o kalīsā ke fasāne
ai kaash kisī baat kā mujh ko bhī yaqīñ ho
uḌtā phirūñ gar charḳh pe har rañj se āzād
yārab yahī aalam mujhe firdaus-e-barīñ ho
be-vaj.h bhī dekhā hai pareshāñ tumheñ 'hāmid'
dīvāne bhī lagte nahīñ āshiq bhī nahīñ ho