mire suune ujḌe dayār meñ kabhī do ghaḌī hī qayām kar
ho jo dil to us meñ sukūn le tirā jī kare to ḳhirām kar
maiñ tamām umr guzār duuñ jise sochte jise chāhte
tū jo kar sake mire ham-navā to vo ek pal mire naam kar
mujhe apne dil kā vo raaz de jo ḳhushī se mujh ko navāz de
vo jo mujh meñ ruuh sī phūñk de kisī roz aisā kalām kar
mirī dhaḌkanoñ kā ye silsila tire pyaar se hai ravāñ-davāñ
tū jo chāhe is ko davām de jo nahīñ to is ko tamām kar
sar-e-shām mujh se tū mil vahāñ jahāñ ujlatoñ kā na ho nishāñ
kahīñ duur tak yuuñ hī saath chal mirā haath haath meñ thaam kar
tirī chāhatoñ kā faqīr huuñ mujhe qurbatoñ kī niyāz de
zarā paas aa ke tū mil mujhe yūñhī duur se na salām kar
koī kaam karnā hai gar 'zakī' to ye kaam kar mire dostā
kahīñ nafratoñ ko na jā mile tū mohabbatoñ ko yuuñ aam kar