ab tak isī ḳhayāl meñ uljhā huā huuñ maiñ
apne badal ga.e haiñ ki badlā huā huuñ maiñ
dīvār-o-dar ko dekh ke lagtā hai dilbarā
terī galī se pahle bhī guzrā huā huuñ maiñ
bikhre hue se baal haiñ dāman hai taar taar
puurī tarah se hijr meñ sañvarā huā huuñ maiñ
shāyad ki ek roz vo aa kar sameT le
muddat se kū-e-yār meñ bikhrā huā huuñ maiñ
bāda-kashī ke ba.ad to aayā huuñ hosh meñ
duniyā samajh rahī hai ki bahkā huā huuñ maiñ
yā-rab ye zindagānī meñ kaisā jumūd hai
Thahrā huā hai vaqt yā Thahrā huā huuñ maiñ
aayā huuñ apne shahr to lagtā hai yuuñ 'zakī'
jaise ki ek dasht meñ bhaTkā huā huuñ maiñ