Zulfiqar Zaki

mere raqib se hans kar kalam karte hue

Zulfiqar Zaki

1985

mire raqīb se hañs kar kalām karte hue

guzar gayā hai vo mujh ko salām karte hue

ajab ki Dūbne vaalā to mutma.in hai magar

Darā huā hai samundar ye kaam karte hue

vo jis ke sāmne saste meñ rakh diyā ḳhud ko

ulajh paḌā hai vo gāhak bhī daam karte hue

mire vajūd pe qābiz huā vo pal bhar meñ

nazar teġh se dil ko ġhulām karte hue

bache-kuchhe se ye pal bhī guzar jā.eñge

kisī yaad meñ sāhil pe shaam karte hue

qasam ḳhudā ye girya na dekh pā.ūñgā

ḳhushī se jā.iye rishta tamām karte hue

'zakī' ye pyaar pahchān ban gayā merī

maiñ ḳhaas ho gayā ulfat ko aam karte hue

Top Urdushayar.com